Mil bhi jaatay hain to
Mil bhi jaatay
hain to katra kay nikal jaatay hain,
Hai mausam ki tarah dost badal jaatay hain !
Hum abhi tak
hain giraftaar-e-mohabbat yaaro,
Thokrain kha kay suna tha ki sambhal jaatay hain !
Woh kabhi apni
jafa par na hua sharminda,
Hum samajtay rahey pathar bhi pigal jaatay hain !
Umar bhar
jinki wafaon pay bharosa keejay,
Waqt padnay pay wahi log badal jaatay hain !
Mil bhi jaatay
hain to katra kay nikal jaatay hain,
Hai mausam ki tarah dost badal jaatay hain !
Home | Sign My Guest book
| My Hobbies | E-Mail | Free Education | MP 3 | Some Great Nazms What is a Ghazal ? | Shayari | Pakistan some cool web sites | Mehfil-e-Ghazal | Karachi | Other Cities Designed by Muhammad Aamir Khan |